Hello Guys, in this article we have provided best collection of parents poetry .
Best parents poetry
Today i’m getting to Share With You Latest Amazing parents poetry or Maa Baap Shayri in Urdu With pictures. Maa Baap Poetry Sms In Urdu permits Readers to specific Their Feelings.
You will transfer parents poetry or maa baap poetry images And It Can simply Share It along with your Lover, Friends, members of the family, Sister, Brothers, Relative And Team Members. many Books are Written On Maa Baap or parents.
Maa ke bagher ghar soona hota hai
Aur baap ke bagher zindagi..!!!
Ae rab mere maa baap hi meri zindagi hain
Usko Hamesha Salamat Rakhna..!!
Neend Apni bhula ke sulaya humko
Ansoo apne gira ke hansaya humko
Dard kabhi na dena un hastiyon ko
Allah ne maa baap bnaya jin ko..!!
Jaan tak Qurbaan kardi jis ne bachon ke liye
Ab to samjho dosto kitne sakhi Maa Baap hain
Mohabbat to bohat chota lafz hai
Meri maa main to meri jaan basti hai
Walden se mohabbat karo Kyun ke
Maa Baap Dubara Nahin Milte..!!
ik mudatt say meri maan soi nahi tabish
main nay ik bar kaha tha mujhy dar lagta hay
puchta hay jab koi, keh duniya main, muhabbat hay kahan
muskra deta hoon main, aur yaad aati hay maan
labon pay us kay bad-dua nahi hoti
bas ik maan hay jo kabhi khafa nahi hoti
samunder aankh main rakh kar, main bethi soch rahi hoon
kay jab maain nahi hotin, tu dukh kis ko batatay haan
khubsurti ki intaha dekhi
jab muskurati hui maa dekhi
dard chala jata hai meray ghar ki dehleez say udas ho kar
pareshan nahi hota main kabhi apni maan kay pass ho kar
Maa Baap shayri
main nay kal shab chahaton ki sab kitabain pharr diin
sirf ik kaghaz pay likha lafz maan rehnay diya
Ghar ja kay chupkay say bachon ko khilaya ho ga
Un ko kiya maloom keh kis haal main kamaya ho ga
Mujh ko chaoon main rakha aur khud jalta raha dhoop main
Main nay dekha ik farishta baap kay roop main
Mujhko Thakne Nahi Deta Zarurat Ka Pahaar
Mere Bachy Mujy Burah Hone Nahi Dete
Gillay phir bhi thay mujhy aisay chak daman say
Yeh baat sach hay mera baap, kam na tha maan say
Wo mujhay soo-ay huwy dekhta tha jee bhar kay
Na janay soch kay wo kiya kiya muskrat tha
Paker tha wo wafa ka muhabbat ka khuda tha
Wo shakhs zamanay main sab say juda tha
Mujh ko nahi dekha karri dhoop nay choo kar
Baba mera duniya main mujhay aisa ja mila tha
Best waldaan poetry in Urdu
Jab tak raha sanson ka basera mera baba
Tab tak main ghamon say, bacha hi raha tha
Uss sham ki hiddat meray dil say nahi jati
Jis sham tera saya meray sar say utha tha
Maa Aik Noor Hai Jiski Waja Se TamaamÂ
Dunyia Ma Chamak Aur Dhamat Qaiem Hai
Door Chala Jata Hai Mere Ghar Ki Dehliz Se Udas Ho Kar
Pareshan Nahi Hota Ma Kabhi Apni Ma Ke Pass Ho KarÂ
Kitne Bewakoof Hain Woh Log Jo waldeen Ki KhidmatÂ
Kar Ke Dua Nahi Laite Aur Dosaroon Se Kehte Hain
Mere Liye Dua Karna
Insaan Ki Barbadi Ka Wqat Tab Shro Hota HaiÂ
Jab Uske Waldeen Uske Ghusse Se Apni ZarurtÂ
Batana Aur Naseihat karna Chor Dete HaiÂ
Dunyia Ma Sab Se Kam Koshish Se Jo Insaan Khush Hote Hain
woh Waldeen Hain Bahut Mehmoli Bhut Hi Mehmoli Koshish Se
Khush Ho Jate Hain
Maa Baap Ka Hath Pakar Ke Rekhain
Kisi Ke Paon Pakarne ki Zarurt Nahi Pare Gi
Dastan Mere Laad Pyar Ki Us Hasti Ke Gird Ghomti HaiÂ
Mughe Janat Se Ishq Is Liye Hai Kion Ke Mere MaaÂ
Ke Kadam Chomti Hai
Maa Ke Baghair Zindgi Weraan Hoti HaiÂ
Tanha Safar Ma Har Rahh Sunsaan Hoti Hai
Hope you like this maa Baap shayri or waldain shayri or parents poetry.kindly share with your friends and social media plate forms like Instagram,WhatsApp,twitter and Facebook.