On this website, we have provided a latest collection of the top 30+ motivational poetry or inspirational shayri . hope you like this poetry.
Best motivational poetry in urdu
Find best motivational poetry in urdu that inspire you to work hard and pull you up.
our greatest assortment of inspirational shayri and motivational poetry in urdu for college students and younger whose frustrate from life.
we tend to hope when reading you shall be able to face difficulties on your life with humble and leave obstacles. scan and share
Best motivational shayri in urdu
Munzil se Agay Barh kar Munzil Talash Kar
Mil jaye Tuj ko Darya Tou Samndar Talash Kar
Tufanoon say aankh milao, sailabon per war karo
Mallahon kay chakar chorro, teir kay darya par karo
Kon kehta hai keh maut aai tu marr jaon ga
Main tu darya hoon samundar main utar jaon ga
Dobna parrta hai ubhernay say pehlay
Gharob honay ka matlab zawal nahi hota
Zindagi Ki Yehi Reet Hai,
Haar Ke Baad Hee Jeet Hai
Best inspirational shayri
Saakh se Toot jayien Wo pattay Nahi hain hun
Aandhi se Koi Keh De ke Auqaat mie rahay
Jo Yaqeen Ki Rah mie Chal Paray
Unain Manzlo Ne Pannah Di
Saakhain Rahain Tou Phool Bhi, Pattay Bhi Ayien Gay
Yeh Din Agar Burray Hain Tou Achay Bhi Ayien Gay
Jab Chal Parray Ho Safar Ko Tou Phir Hosla Rakho
Sehraa Kaheen , Kaheen pe Samaandar bhi Ayien Gay
Koi Qabil Ho Tou Hum Shan e Kaie Detay Hain
Dhondnay Walon Ko Duniya Bhi Nai Detay hain
Perfect inspirational shayri
Nahi Tera nasheman Qasar e Sultani ke Gumbad Par
Toun Shaheen Hay Baseera Kar Paharon Ki Chitano mie
Auqaabi Rooh Jab Bedaar Hoti hay Jawano Mie
Nazar Aati hay Un Ko Apni Manzil Aasmaano Mie
Khol aankh, zameen dekh, falak dekh, fiza dekh
Mashriq say nikalty huwy suraj ko zara dekh
Waqt Acha Bhi Aye Ga Nasir
Gham Na Kar Zindgi Parri hay Abhi
Milay ga manzal e maqsood ka usi ko suragh
Andheri shab main hay cheetay ki aankh jis ka chiragh
Mita day apni hasti ko agar kuch martaba chahay
Kay dana khak main mil kar gul e gulzar hota hay
Best motivational poetry with images
Waqt say pelhay haddson say larra hoon
Main apni umer say kai saal barra hoon
Ranj say khu-gar ho insan tu mitt jata hay ranj
Mushkilain mujh per parin itni keh aasan ho gain
Umeedain youn na tooro tum keh yeh qanon hai rabb ka
Sahar lazam hai goya shab main litni hi tawalat ho
Hum Ko Mitta Sakkay Yeh Zamanay Mie Dum Nahi
Hum se Zamana Khud hay Zamanay se HUm Nahi
Be Faida Alam Nahi, Bekar Gham Nahi
Tufeeq De Khuda Tu Ye Nemat Bhi Kam Nahi
Yar Rab, Hajoom-e-Dard Ko De Aur Wusatain
Daman Tu Kia, Abhi Meri Aankhain Bhi Nam Nahi
Marg-e-Jigar Ye Kion Teri Aankhain Hain Ashq Raiz
Ik Saneha Sahi, Magar Itan Eham Nahi
Motivational shayri in urdu
uṯh kāyā β βāzām ē jāhān kā āur hɨ āndāz hā
māshrɨq o māģhrrɨβ māɨn ṯēry dāur kā āģhāz hāy
sɨṯāron sāy āāģāy jāhān āur βhɨ hāān
āβhɨ zɨndāģɨ kāy ɨmṯɨhān āur βhɨ hān
Nāhɨ ṯērā nāshēmān kāsēr-ē-sulṯānɨ kāy ģumβād pēr
Ṯu shāhēēn hāy βāsērā kār pāharon ki chitano par
Shāhēēn kāβhɨ pērwāz sāy ṯhāk kār nāhɨ ģɨrṯā
Purdām hāy āģār ṯuu ṯu nāhɨ khāṯrā-ē-ɨfṯād
Phool kɨ pāṯɨ sāy kāṯ sākṯā hā hērry kā jɨģār
Mārd-ē-nādān pēr kālām nārm o nāzāk βāy-āsār
Jin ko daulat haqir lagti hai
Uf vo kitne amiir hote hain
we hope you liked this motivational poetry in urdu.if you like this poetry then do share this inspirational shayri on social media plateforms like instagram , facebook,whatsapp.